Monday, May 31, 2021

Verna History First Model To Last Model In Hindi

   Ap verna ke bare me to jante hi honge aur verna ko bhartiy sadko pr dekha hi hoga pr ap uski history aur kaha se kaha tak success li he aur kitne model kitne face lift nikle he unke bare me jante he..?


 

Verna ek HYUNDAI COMPANY KI SADAN CAR HE .
 
➡   VERNA 2006


Hyundai ne verna ka sabse pehla model 2006 me launch kiya tha , launch hote hi uska sabse pehla competition HONDA CITY ke sath tha aur 1.5 Leter ke diesel engine ke sath available thi aur petrol engine 1.6 leter ke sath 102bhp ki power aur 109 diesel engine ki power generate krta tha daimantion ke hisab se dekhe to verna ki lenghth thi 4310mm weigh thi 1695mm aur height thi 1490 mm 

Verna ka engine power full tha sath hi sath safety ke feature bhi bahot achhe the sath hi verna hyundai ki reliable car thi aur design ke hisab se dekhe to verna ki design ek dam attractive aur fresh thi 

Is car me esa sab kuchh tha jo ek premium car me hona chahiye in sare + point ke karan vahi hua jo hona chahiye tha HYUNDAI VERNA kafi kam Time me india me bahot popular gadi ban gayi 

STARTING KE 15 DAY ME HI 5000+ UNIT SALE HO GAYI THI 

 Sales ka yeh figurr us time ke according ek achha sales figure tha .

➡   VERNA_2010

* 2010 me verna ka pehli bar face lift hyundai n launch kiya 

- Engine me koi chij badli nahi gayi thi kyuki wo engine hi ek dam power full engine tha per design ke hisab se bahot sare changes kiye gaye the 

- verna me naye head lamp bumper aur air damp change kiya gaya sath hi verna me ab body cluer grill bhi ane lagi sath hi Led turn indicator aur OVRM jaise features bhi add kr diye gaye the 

➡   VERNA 2011


Verna ne last yani 2010 ke face k bad dusre hi sal yani 2011 me verna ka dusra facelift launch kr diya is bar engine me modification kiya gaya aur iske karan tab ka verna ka engine sab se jayada power full engine ban gaya tha verna tab 1.6 leter ke diesel aur petrol  engine aur 1.4 ke diesel aur petrol engine me available thi 

Verna na engine ab 105 aur 121bhp ki power jabki verna ka diesel engine 88 aur 126 bhp ki power generate karta tha 

Verna ke 2011 ke body design ke hisab se kafi changes kare gaye the verna ki side design me mikolf kafi smooth kiye gaye the aur front grill ko vapas se change kiya gaya sath hi iske fog lamp bhi modification kiye gaye 
 
Features ki bar kre to hyundai apni sari gadio me features bade achhe se distribute krti he yahi is face lift me bhi kiya gaya 

Verna ne isme push engine start claimant control jaise premium features is gadi me add kiye gaye in sab ke karan verna ka face lift sabki akho me a gaya aur usne kafi surkhiya batori 

Dheere dheere verna indian market me aur famous hoti gayi aur kayi car buyer jinko sedan category ki car leni thi unki pehli pasand ban gayi 

➡   VERNA_2015  


Verna ke liye sab kuchh sahi chal raha tha par 2015 ke ate ate sedan me compition bahot badh gaya tha Maruti Apni Ciaz Aur Honda Apni New City jesi car launch kr chuki thi

2015 me verna ne minor changes ke sath verna ka facelift launch kiya 
 
Is design me verna ki front grill , lamp ko change kiya gaya sath hi back side me bhi kuchh changes kiye gaye 

➡   VERNA_2017__


2017 me finally verna ne apni next generation verna launch ki 

Verna ki design me front bumper se le kr last ke boot tak kayi change kiye gaye the uske look ko kafi attractive banaya gaya hamare opinion me verna ki yeh sabse best look he 
 
Design ke alava bhi features ke hisab se verna me kai sare features add kiye gaye vantinator , seat , electric sun roof , smart infumator system 

Yeh next generation verna india market me badi popular huyi 2018 me best indian car award bhi jita 

➡   VERNA_2020___

Abhi 2020 me hi verna ne apna naya facelift launch kiya tha 

Verna ki front design me front grill , led head lamp , drl , front fog lamp ke cover , design wo sab chije mo changes kr diye the aur chrome ki alloy wheel bhi add kr di thi 
 
Is face lift me verna ne pehli bar turbo charge petrol engine ka option bhi diya gaya he 

* Verna 2020 me 
Titan gray 
Fairy Red 
Stary night 
Fantom black 
Puller white 
Tifoon silver 

* Verna 2020 unique feature's 
digital intimate culture 
Wire less charger 
Smart boot
Emergency stop signal 
Ventilated front seats
Twin teep muflure 
And blue link system 

Nayi verna 2020 ke dimation he 

Length - 4440 mm ( 130 mm jayada lambi he verna ke first generation model se )
Width - 1729mm ( 34 mm jayada he first generation verna se)
Height - 1475 ( -35mm kam he first generation verna se) 
Wheel base - 2600 ( +100 jayada he first generation verna se ) 

Engine ke hisab se dekhe to verna me 3 hisab ke engine available he 

- 1.5 leter petrol engine - 115 Ps power genrate krta he 
- 1.5 leter diesel engine - 115 Ps power genrate krta he same 
- 1.0 leter turbo charge petrol engine - 120 ps ki power generate krta he 

Price ke hisab se dekhe verna ka petrol engine 9.35 lakh se suru hota he jo ki jata he 13.85 lakh tak 

Verna ka diesel engine start hota he 10.66 lakh se jo ki jata  15.10. Lakh tak 

Verna ka turbo charge petrol engine ki price he 13.99 lakh ex show room Delhi 
 

🔰 WATCH MY OTHER BLOGS 




MUST WATCH : TESLA HISTORY




0 comments: