Friday, May 28, 2021

TESLA HISTORY IN HINDI


             Tesla's successful history 


Tesla ek esi company he jo apne time ki technology se age ke time ki technology use krti he. Telsa electric car banati he jo ki ap sab log jante hi hoge.
 
Electric car ke do bade fayde he. 1 shor nahi karti he 2nd pradusan nahi felati he .

Tesla company ek esi he jisne aj tak market ki sabse achhi electric cars banai he

Tesla company ek 2003 ki start up company thi jiske Ceo ELON MUSK he , company ka target pehle se esa thaki ek achhi electric car banai jay jo affordable ho aur performance me ek petrol vali car ko mat de sake abhi ek aisi car banane k liye usko paisa chahiye tha ther sara pesa jise wo use production me la sake aur ek badi company suru kar sake.

To unhone iske liye step by step ka sahara liya apne target tak pohach n ke liye alag alag sidiya banai jise wo apne target tak pahoch sake 

Isme pehla step tha yeh tha ki pehle esi car banana jo profit double ho aur electric bhi ho jiski range achhi he aur use itne amout me launch kra jay jise wo profit kama sake 

Unhone iske liye un car ko limited num me launch kiya jise uski demand badhe, unki pehli car thi 2008 me tesla roadster 

                    [ R O A D S T E R ]

Ab is car ke launch hone aur sale hone ke bad tesla n itna earn kar liya tha ki ab bari thi step 2 ki ab bari thi tesla ki thodi jyada market me run krne vali aur thode jyada unit me launch krne vali gadi ki aur use jo use jo earn hoga wo sara add up hoga us affordable car banane k liye .

Tab launch ki unhone Tesla "s" jo dunya ki sabse safe aur famous car ban gayi , is car ki exceleration isni jyada achhi thi ki even enke jo petrol car competitor he wo bhi ise nahi hara pa rahe the , iski k sath ek petrol car se 3 guna jayda efficient thi aur ek full charge me apko 480 km ki range milti thi sath hi sath super charge ka bhi fayda milta tha 

   
                  [ Tesla model S (suv) ]
 
                     [ Tesla model X]

Model s ke sath unhone model x bhi launch kr di jo ki ek suv(super elevator vehicle) he , har safety category me 5star lene k sath yeh kafi famous ban gayi , jaha tesla motor ki chhap chhappi thi waha log tarifo k pul bandhe ja rahe the 
 
Abhi bari the elon musk k 3rd step ki final move ki ek esi car launch krna jo affordable car ho jiski range petrol car se thodi jayada ya uske jitni ho aur jayada safe ho isko dhyan me rakhte 2017 me launch ki tesla model 3 .

                       [ Roadster 2]

Model 3 ke launch hote hi is car n dhamal macha di 1000$ ke reservation ke sath tesla k pass itni reservation ayi ki aj tak kisi ke pass itni reservation nahi ayi he 

Itne sare reservation ko deliver krne ke liye company ko bahot mehnat krni padi 

Abhi abhi company ne ek SA truck launch kiya he jo sasta aur kifayti rahega chalane me sath hi thay uski safety rating bhi high he aur sabse badi bat he aur is truck ki khas bat yeh he ki wo normel truck se 3× jayada efficienty dikhata he 

                        [ Tesla truckk ]

Ise petrol me bhi jyada fayda hoga aur truckers ko bhi jayada fayda hoga iske alagava 2019 me Tesla roadst jo dunya ki sabse fastest electric car he wo 0 to 100 1.9 second me archive krti he , jo dunya ka bada world record he 

Tesla truck aur cars ke alava tesla company ke under power wall bhi Banata he power wall ek tarah ka battety aur inventor system he jo ki 10 kw aur 7kw capacity me ata he , yeh system sidha apki diwal me amout ho jata he lekin jo chiz yeh apki normel inventor se alag banata he ki isme lithium's battery ka use hota he jinki efficiency apne ap me hi bahot jayada he aur unka charging time bhi kam to wo badi jaldi charge ho jate he aur apko achhi khasi effiency ke longer range provide krte he 
                         [ power wall ]

Jaha pr ek hamari normel battery 5-6 sal me khatam ho jata he waha ek lithium battery 12 se 13 sal ka he to mana ka ek bar ap power wall khrid le ek bar mahenga padega pr future me utna hi sasta padega 

Yeh ek esi tiles ban jati he jo apki chhat pr lag jati he aur dhup se energy banake aur use hi apki power wall aur electric car charge krti he sath hi sath yeh jo tiles he wo sollar panel se dikhne me bhi achhi lagti he aur apki normel ghar ki tiles se bhi sasti padti he lagane me .

Over all Tesla ek successful company he jo ane wale future me bhot age jane vali he 


0 comments: